Aankh
Ban Jati Hai Sawan Ki Ghata Sham Ke Baad
Laut Jaata
Hai Agar Koi Khafa Sham Ke Baad
Wo Jo
Tal Jati Rahi Sar Se Bala Sham Ke Baad
Koi To
Tha Ke Jo Deta Tha Dua Sham Ke Baad
Aanhen
Bharti Hai Shab-E-Hijr Yateemon Ki Tarah
Sard
Ho Jaati Hai Har Roz Hawa Sham Ke Baad
Sham Tak
Qaid Raha Karte Hain Dil Ke Andar
Dard
Ho Jate Hain Saare Hi Rehaa Sham Ke Baad
Log Thak
Haar Ke So Jate Hain Lekin Janaa
Hum Ne
Khush Ho Ke Tera Dard Saha Sham Ke Baad
Chand
Jab Ro Ke Sitaaron Se Galay Milta Hai
Ik Ajab
Rang Ki Hoti Hai Fizaa Sham Ke Baad
Hum Ne
Tanhaai Se Pucha Ke Milo Gi Kab Tak
Us Ne
Be-Chaini Se Foran Hi Kaha Sham Ke Baad
Tum Gaye
Ho To Siyah Rang Ke Kapre Pehne
Phirti
Rehti Hai Mere Ghar Mai Qaza Sham Ke Baad
Maar Deta
Hai Ujarr Jaane Ka Dohra Ehsaas
Kash
Ho Koi Kisi Se Na Judaa Sham Ke Baad
Read more...